THE FESTIVAL OG LIGHT!.....DIWALI...

Hii friends...
what's up?
bari dino baad blog kr rha hu..ab bhai baat hi kuch aisi hai ki kya batau..
in dino hmare bharat me bahut acchi  aur khushali se bhari parv DIWALI 
aayi hai....dosto hm sab diwali kaise manate hai...
jyadatar logdikhawae ke liye lekin kch aise v hote hai jo dikhawa ni krte..
ji haa dosto aapne sahi farmaya jo log amir hai wo hi dikhawa krte hai..
bt jo log garib hai unke paas kuch hota hi nhi ki wo dikhawa kr ske kyuki
unke paas paise ni hote aur ye isiliye hota hai kyuki paise hm unse chin lete hai
jarasal wo log deepawali ke din jalane ke liye diye toh bana lete hai  magar wo  log
usi  diye me tel nahi daal pate kyuki unke paas paise nhi hote.
hm diwali me chinese saman khaid lete hai aur hmare indian bhaii bandhuoo ke bare
me kuch sochte bhi nhi kyuki hme apne kaam se matlb rhta hai hm unke baare me nhi
sochte.Hme ye nhi bhulna chahiye ki diwali sirf hamara tyohar nhi balki pure bhai-bandhuwoo ka tyohar hai hme koi hak nhi ki hm apni khushiyo ke karan dusro ki khushiyan kurban kar de.
Aaiye Hm Sb Mil Kar Ke 1 Prahan Lete Hai Ki Iss Diwali Hm sb koi chinese saaman nhi kharide kyuki hm kharidenge to hmare desh ka paisa dusre desh me bewajah chala jaayega.
Agar hm kumhar bhaiyoo se deep kharide toh usse do fayade hai--------
[1] Hmare desh ka paisa Hmare desh me hi rahega...
[2] Hmare sabhi bharat waashiyon me se kisi ka bhi ghar deepawali ke din andhere me nhi rhega
sbhi ke ghar diyo se jagmaga uthenge aur sbhi log hush rahenge aur har ghar me khushali hogi..
At last main aap sab se yhi kehna chahunga ki
Diyon ki roshni se jhilmilata aangan ho, Patakhon ki goonjo se aasman roshan ho, Aisi aaye jhoom ke yeh diwali, Har taraf kushiyon ka mausam ho��!!!! Diwali Ki Shubh Kamnayein
Image result for dont use chinese
Aaiye ham sab bharatwasi china ko ye dikha de ki ekta se bari koi aur taka nhi...
agar ham sbhi bhai-bandhu iss baat ka prahan le to mujhe pura vishwas hai ki duniya ki koi takat hamare desh ka baal bhi baanka nhi kar paayegi
Image result for happy diwaliImage result for animated happy diwali
.
.
aapka dost -- ROUNIT SINHA
Class          -NINTH
Saccha desh bhakt
INDIA

Comments

  1. Nyc achievement to me ...hmmmmm nyc
    congrats to me...........
    by me to me

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Framing The Indian Constitution - Whole Story ( in Brief ) : Rounit Sinha

नव वर्ष की हार्दिक शुभकामनाएँ ।

Ram Mandir Bhumi Pujan: Full text of PM Narendra Modi’s speech in Ayodhya